Namaskar dosto aap sabhi ka bahut bahut Swagat hai hamare blog helper club mein main aaj ap se baat karne wala Hu whatsApp marketing ke bare mein aaj ke iss article main aapko Pata chalega kaise aap whatsApp per Apne product ko sale kar sakte hain aur kaise aap apni WhatsApp profile ko use Karen aur kaise Whatsapp ke features ko apne business ko badhane ke liye use kar sakte hain uski Baat aaj Ham is article mein karne Wale Hain.
Main aapko step-by-step samjhunga ki Kis Tarah Se aap kuch steps follow karke whatsapp ke Madhyam se apni sale generate kar sakte ho.
Sabse pahle doston agar aapko WhatsApp marketing karni hai to aapko normal WhatsApp application use nahi karna, to aap soch rahe Honge whatsApp marketing karne ke liye kaun sa application use Karen to doston whatsApp marketing karne ke liye aap WhatsApp business application use Karen.
WhatsApp business kya hai ?
Aap log soch rahe Hong ki Humne normal WhatsApp to Suna tha Jise Ham bahut Salo se use karte aa rahe hain lekin yah WhatsApp business kya hai, to doston whatsApp business WhatsApp company dwara hi develop Kiya Gaya application hai joki business mans ko dhyan Mein rakh kar Banaya Gaya Hai agar koi Whatsapp ke Madhyam se Apna business karna chahta hai to WhatsApp unki Suvidha ke liye whatsApp business Naam Ka application launch Kiya joki ki WhatsApp se bilkul alag hai isme bahut Sare features Aise Hain jo aapko normal WhatsApp Mein Nahi Milenge uske liye aapko WhatsApp business application download karna padega.
WhatsApp Business mein kya kya extra feature hai ?
Dosto whatsApp business ki help se aap Auto reply set kar sakte ho jisse aapke customer ka Kabhi Bhi WhatsApp business per koi message Aaye To aap ki taraf se automatic use ek reply Chala Jaya, message use time per Jaega Jab aap WhatsApp Nahin chala rahe ho.
Dosto whatsApp business ki help se aap quick reply kar sakte ho kyunki Yahan Par Ek Option hota hai Jahan Par aap kuch sawalo ke jawab pehle se hi likh kar rakhte ho aur unke reply ka ek keyboard choose kar dete Ho Ki Main Agar Ek dabau to pure line Mere customer ko send ho jaaye Aise aap koi bhi keyboard choose kar dete Ho
Dosto whatsApp business ki madad se aap apne customer ko apni profile ka uRL de sakte ho jisase aap ka customer aap ke number ko Bina save kiye Hue bhi aap ko message kar sake aapke dwara Diye Gaye URL par click Karke koi bhi customer aapke Number Ko Bina save kiye Hue message send kar sakta hai.
Dosto whatsApp business ki madad se aap apne business ki puri detail apni profile setting mein daal sakte ho yaha par aap apna mobile number, email ID, website de sakte ho jisse ki customer ke andar aapke business ke Prati ek trust Paida Hota Hai
To doston sabse pahle aapko WhatsApp business download karna hai aur uske bad Jo chijen karni hai vah main aapko step-by-step batata chalta hun
To aapko sabse pahle whatsApp Business mein apni profile set karni hai jismein aapka business ka naam business ka logo business ki email ID business ka address de sakte ho
Aapko apna Ek WhatsApp group banana hai aap ek Se Jyada bhi WhatsApp group banaa sakte hain aur apne WhatsApp group ka link aapko facebook ke bade bade groups Mein share karna hai aur un group ke members se request karni hain ki Aap Hamare WhatsApp group ko join Karen aur unhen apni service ya product se introduce Karen.
Uske bad aapko apni WhatsApp per broadcast bana leni hai jab aap broadcast ki help se customers ko product share Karte Hain to customer ko Special feel Hota Hai agar aap group mein post karte ho to customer ko yah lagta hai yah post Sabhi Ke liye hai lekin Jab aap broadcast se post karte ho to customer ke pass personally vah post jaati hai aur use lagta hai hi Ki Main Kitna special hun jo mere ko specially post bheji ja rahi hai
Uske bad aapko auto reply ke auction ko on kar dena hai jisse kabhi customer aap ko message Karen aur use Samay aap Agar whatsApp Nahin chala rahe to Auto reply automatically aapke customer ko message send kar de jo bhi aap chahte ho
Uske bad aapko quick reply ka use karna hai quick reply mein main aap Pahle Se Kuchh set karke rakh dete Ho aur aap usmein yah bhi set kar dete Ho ki agar main yah keyword eanter karu to yah message send ho jaaye jisse Samay ki bachat bahut hi jyada hoti hai
Ab Baat Aati Hai whatsApp business ke status ki aap Jo Bhi product ya service sale karte ho uske aapko banner banani hai aur vah aapko Apne status Mein Dal Di jisse ki aap ke customer Jab aapke status ko Dekhen to unhen Yad Rahe ki han aap yah service deti ho ya aap is type ke product bhejte Ho
WhatsApp se paise Kaise kamaye
ye Sawal mujhe bahut bar poochha Ja chuka hai aaj main aapko iska jawab dunga aap WhatsApp ke Madhyam se Apna reselling business start kar sakte ho jo re sailing application hai unke link maine niche Diye Hain aap vahan Se unhen download kar sakte hain aur Apna business start kar sakte hain jyada Jankari ke liye aap un application Ko download Karen aur un application ke andar customer support team ke mobile number Diye Hain unse aap baat kar sakte hain aur Jyada Jankari Le sakte hain
Agar aapko yah artical Pasand Aaya Ho to aap apne doston ke sath Jarur share Karen dhanyvad







0Comments