ad

How to get more views on youtube videos.


How to get more views on youtube videos.


namaskaar dosto mera naam hai rohit sharma swagat hai aap sabhi ka hamare iss blog me.

dosto aap sabhi ko aaj mai batane wala hoo ki  apne youtube videos pe views kaise laye.

How to get more views on youtube videos.


How to get more views on youtube videos.
Get more views on YouTube 


dosto isse pehle wale article me mai aap sabhi ko bataya tha ki youtube channel kaise banate hai. agar aapne abhi tak wo article nahi padha hai to jaldi se jaiye aur wo article padh lijiye. maine puri tarah se bataya hai ki aap apne mobile se youtube channel kaise creat kar sakte hai aur youtube se paise kaise kama sakte hai.
dosto uss article ka link maine niche de diya hai. abhi tak nahi padha to jaldi jaiye aur padh lijiye.

How to create youtube channel 

ab aate hai main topic par. ab aapne apna ek youtube channel bana liya aur videos bhi upload kar rahe ho. lekin aapke videos pe views nahi aa paa rahe. dosto bahut sare naye youtuber ya phir purane youtuber hote hai jinke videos pe views nahi aa pate . ab dosto Jin videos par views nahi aayenge to subscriber nahi badhenge ab jab aapke channel pe views aur subscriber nahi honge to aapka channel adsense se monitize nahi hoga aur aap youtube se paise nahi kama payenge. dosto youtube pe aise bahut se youtube channel hai jinke 1Lakh+ subscriber hai lekin unki videos pe view nahi aa pate. to dosto aap log gabhraiye nahi isi ke liye ye article lekar aaya hoo ki youtube videos pe views kaise paye.

How to get more views on youtube videos.


dosto iss article ke madhyam se hum aapko 13  aise tarike batayenge jisse ki aapke videos pe views aana start ho jayega.

What is reselling full guide in hindi

01. dosto sabse pehle aap apne youtube channel ka ek unique sa naam aur logo rakhe. isse phayda yah hoga ki jab bhi koi viewers aapke channel pe aayenge to agar aapka channel ka koi unique sa naam hoga to viewers ko dimaag me set ho jayega. uske baad viewers ko jab bhi man karega aapke channel ko youtube pe search kar ke aa sakte hai.

02:- dosto jab bhi aap youtube pe videos bana rahe ho to ek niche topic pakar lijiye. ab dosto technology ko hi dekhiye technology ek topic nahi hai technology ke ander jo hai wo topic hai jaise ki mobile unboxing karna, apps review karna, games review karna, blogging ke baare me sikhana ye sab dosto technology ka ek niche topic hai.

03:- ab dosto aap jab bhi videos upload karte hai tital and tags ye dono research kar ke daliye.

04:- dosto aap jab bhi videos banate ho usme aap logo ko apna channel subscribe kar ke bell icon dabane ko boliye. ek video ke suru me, uske baad video ke beech me, uske baad video ke last me.

05:- dosto aap apne videos me ek attractive thumbnail lagaiye. jaise ki dosto green, red, blue, ye sab thumbnail rakhiye viewers ko ye sab colours ka thumbnail jaldi attrart karta hai.

What is network marketing in Hindi

06:- dosto aap jab bhi video bana rahe ho to aap trending topic pe banaiye. analyze kijiye ki google me abhi kya trend chal raha hai.

07:- dosto agar aap youtube se paise kamana chahte ho to aapko thoda investment karni hogi. dosto agar aap kuch paise afford kar sakte hai to aap ek tripod stand aur ek mic jarur kharidye. dosto ye aapko youtube pe rank karne me bahut madad kategi. agar aapka youtube career ka suruaati videos me quality honge to aapka channel yakin maniye bahut jaldi grow karega. aur agar aapke suruaati videos agar acche nahi honge to koi bhi aapka channel subscribe nahi karega.

dosto agar aap tripod aur mic best quality ke kharidna chahte hai to humne link niche de diya hai yaha pe best quality ke products mil jayenge.

08:- dosto aap jo bhi videos banao use aap youtube pe search kar le. agar 1 Lakh+ views ho tab aap us pe videos banao isse jyada chance rahte hai views aane ke.

09:- dosto aap jab bhi videos banao accha sa koi deewal ka background hoga to aap waha pe jaa ke videos banana.

10:- dosto aapko videos banate samay paresani ho rahi hai bolne ya phir camera ki taraph dekhne me to aap daily ek ghanta camera ke samne baith ke bolne ki kosis karte rahe isse aapka bahut phayda hoga. camera ke samne bolne ki improvement badh jayegi aur aap dheere-dheere sikh jaoge bolne ki.

What is digital marketing in hindi full details

11:- dosto jab bhi aap videos banaye to aap camera ke taraph dekh kar videos banaye. isse aapki viewers ke saath eye contact bane rahegi aur viewers ko aapki baate jyada samajh me aayegi.

12:- dosto aap jab bhi videos banaye to 6 minutes ki upar ki videos banaye lambi videos banaye. dosto youtube ki algrorithm se ye pata chalta hai ki youtube lambi videos ko jaldi promote karta hai.

13:- dosto aap daily ek video ka rutine bana le aur samay ka ki mujhe iss sam pe videos upload karna hai.

dosto maine 13 tips and tricks bataye hai apne youtube videos pe views pane ke agar aap ye tarika apnayenge to jarur aapke videos pe views aana start ho jayega.

aasa karta hoo dosto isse aapko koi seekh mili jo views paane ke youtube videos pe agar accha laga ho to iss article ko share jarur kijiye ga.

Post a Comment

0Comments