ad

Part : 2 Blogging Best Practices - The Free Beginner's Guide From Helper Club



Chaliye ye Hamara second article Hai blogging ke upar toh Dosto bloge Banane se pehle kuch cheezo Ko Hum Yahan Par clearly samajh lete hain Kyu ki  jab ham bloge Banaye toh Hame Koi dikkat Nahi ho. Aur Hum technical term ko Samaj sake Ki kis term ka kya matlab hai. 


helper club
helper club


What is Domain name 



Chaliye to sabse Pehle baat karenge domain name kya hota hai  aur website ke liye ye Kyu zaroori hai. dosto domain name website ka naam Hota Hai.  Jo aap apni website ka naam rakhte Hain jaise ki google.com toh dosto yeah Google ki website ka naam hai to Agar aap apna bloge ya website banate hain toh aapko sabse Pehle Ek domain name ki jarurat padti hai domain name aap ko bahut sari site provide Karate hai aap godaddy SE bhi apna domain buy kar sakte hain  Yahan Par aapko domain name lene ke liye kuch paise dene padte Hain.


What is subdomain 



Dosto Humne upar domain ke baare mein to Jaan liya ab baat karenge subdomain ke baare mein jaisa Ki Maine domain ke baare mai aap ko bataya kE  aapko domain kharidna hai toh uske liye aap ko paise dene padenge aur agar aap sabdomain use karte hain toh Woh aapko free mein Mil Jayega. 


What is hosting 


Dosto ab baat karte hain hosting kya hoti hai to dosto hosting ko web hosting bolte hain main Ek example ke Madhyam se aap ko Samjha na Chahunga ki web hosting hoti kya hai dost Jis Prakar aap utpad ko rakhne ke liye  ek dukan  ki avashyakta Hoti Hai Usi Prakar aap ki business website ko online pradarshit hone ke liye web hosting ki avashyakta hoti hai aap ki website file ko store karne ki jagah deti hai jaha par aapka  website hota Hai. 


Website theme 


Dosto baat karte hain website theme ke baare mein ki website theme hoti kya hai aur yeh aapke liye kyu zaroori hai dost website theme aap ki website ki puri design hoti hai website theme ke Madhyam se hi ye Pata Chalta Hai ki  website kaisi dekhegi jaisi aap ki website ki theme Hogi aap ki website bhi besi hi hogi 


S e o ( search Engine Optimisation )


Agar aap ek website banane ki soch rahe ho to aapko search Engine Optimisation ki jankari Hona bahut jyada Jaroori hai search Engine Optimisation ke Madhyam se aap apni website ya blog ko google mein rang Karate Ho jis Se log aapke website ko dekhne ke liye Aate Hain aur aap se earning karte ho.


Google AdSense 


Google 1 bahut badi Company hai jis mein se ek Google AdSense bhi hai google AdSense aap ki website ya blog par advertisement Dene Ka Kaam karti hai jab aap ki website ban kar teyar Ho Jati Hai uske baad aap Google AdSense ke advertisement apni website par Laga kar earning kar sakte hain 


SSL certificate 


Chaliye baat karte hain key SSL certificate Kya Hota Hai SSL ki full form high secure socket layer hoti hai basically ye Ek stand security Technology Hai Jahan par server or customer Ka link banaya jata hai yeh ek security protocol hai jo Dono party ke beech use hone wale interaction ko secure karta hai SSL Ek Bada topic iske liye main pura article aapko likh Dunga 


Backlink 


Dosto backlink bhi bahut hi zaroori hai aapke bloge website ke liye backlink ka matlab hota hai ki aap ki website ya blog google ki kin kin site se link hai ya kis kis ne aap ki website ke baare me bataya hai kya aapke website ka link Google par jitni bhi site Hain unme se Kitni side Hona aap ke Ling ko apni website ya blog par Diya Hai jitne Jyada aapke Bank backlink Hote Hain itni Jyada aap ki ranking Google mein badhti hai 


Google analytic 


Google analytic un Sabhi Logon ke liye bahut jyada Jaroori hai jo bloge ya website chalate Hain google Analytics ke Madhyam se aap apne bloge ya website ko manage kar sakte ho aur kabhi bhi ye dekh sakte ho ki aap ki website par kitne traffic Aa Raha Hai Kitne log aapki website par hai sari detail  track kar sakte ho 



Toh abhi ye second lesson Ko Mai finish karta hoon aur jo aage aayega lession usko aap zaroor padh Lijiye 

Post a Comment

0Comments